Search This Blog

Tuesday 14 June 2011

kutch nisaan umr ke raftaar se lag jaate hain..



रोग ऐसे भी गम-ए-यार से लग जाते हैं
दर से उठते हैं तो दीवार से लग जाते हैं
[दर = door, गम-ए-यार = sorrow of beloved]

इश्क आगाज़ में हलकी से खलिश रखता है
बाद में सैकड़ों आज़ार से लग जाते हैं
[आगाज़ = start, खलिश / आज़ार  = pain ]

पहले पहले हवास की  इक-आध दूकान खुलती है
फिर तो बाज़ार के बाज़ार से लग जाते हैं

बेबसी भी कभी कुर्बत का सबब होती है
रोना चाहे तो गले यार से लग जाते हैं
[कुर्बत = love; सबब = reason]

दाग़  दामन के हों, दिल के हों या चेहरे के 'फ़राज़'
कुछ निशां उम्र के रफ़्तार से लग जाते हैं

अहमद 'फ़राज़'

--------------
Adding my own makhta to it

यूँ हुआ बेकस रुख 'मुज़्तरिब'  इश्क में उसके, की  
हमदर्दी में रकीब भी गले प्यार से लग जाते हैं
[बेकस रुख = sad faced , रकीब = enemy]
-------------------

rog aise bhee gam-e-yaar se lag jaate hain
dar se uathte hain to deewar se lag jaate hain

ishq aagaz mein halki se khalish rakhta hai
baad mein saikdon aazar lag jaate hain

pehle pehl hawas ke ik aadh dukaan khulti hia
phir bazzar ke baazar se lag jaate hain

bebasi bhee kabhi kurbat ka sabab hoti hai
rona chahein to gale yaar ke lag jaate hain

daag daaman ke hon, dil ke ya chehre ke 'Faraaz'
kutch nisaan umr kee raftaar se lag jaate hain

'Faraz'
-------------------
yun hua bekas rukh 'muztarib' ishq mein uske, ki
humdardi mein rakeeb bhee gale pyar se lag jaate hain
-----------------

2 comments:

Yugal Joshi said...

Kakka this is the true blue "kanghi choti" shaayri. Mere khayaal se Faraz ki aisi below standard ghazal mat he rakho, tumhaara blog acche high level ka hei ye ghazlen ghusa dengi neeche

Anonymous said...

bahut hi badiya :).

Mujhe yaad aata hai aakhri sher pe ik sher ....

Pooch baitha hun khud tujhse tere kuche ka pata ,
Tere haalaat ne kaisi teri surat kar di !